...

9 views

wafadaar tha bas sath nahi tha kabhi
Kisi aur ke sath dekh jalta hai wo
Isiko sachhi mohabbat kehta hai wo

Use haq hai mere pal pal ki khabar rakhne ka
meri takleefo se phir gumnaam kyu rehta hai wo

Mujjhe waqt chahiye tha uska aur uska sath bhi
Mujjhe din usi se shuru karna tha aur khtm raat bhi

Uske kahaani ki main hissa nahi hoo
To phir haq jataane wali konsi baat thi

Uski awaaz sunne ke liye bhi mujjhe sir jhukaana padta hai
Seedhi baat kehta nahi kitna bahaana karta hai

Main to chahti hoo tum tasalli se aazmaa ke jaao
Kisi se kuch kehna to meri bhi kahaani sunaao

Sabse kehna ki badal gayi thi main
Phir ye bhi btaana tumhare liye hi dhal gyi thi main

Sabse Kehna ki wafa mere qirdaar me nahi tha
Sabse kehna ki wafa mere intezaar me nahi tha

Phir unko ye bhi bataana intezaar tumhara maut tak tha
Qirdaar bura nahi tha mera, aitbaar tumhara chhote bacche ke shauk sa tha

Jisko Jana hota hai hazaar bahaane hote hai
Zaroori nahi hai jo din raat rote hai wahi ashiq hote hai











© zohrawritess