...

3 views

Shabd
Tumhe yeh aasaani se mil jaate hai kya?
Kya tumhe kabhi hasate toh kabhi rulaate hai kya?

Tum jab safed Kagaz par kaali siyaahi se kuch likhne baith the ho toh kya yeh apne aap aa jaate hai kya?

Ya jaise ek tarfa pyaar ho usmein voh aashiq ko jaise sataati hai, yeh tumhe vaise satataate hai,

Kabhi jaldi toh kabhi derr se,
Kabhi paas se toh kabhi durr se,

Haa yeh kuch bhi karke aa hi jaate hai,
Kabhi Khushi se toh kabhi Gham apne saath le hi aate hai,

Jaise voh pehli baarish ki taraah,
Jaiae voh garmiyon ki kheth mai pehle paani tarah,
Jaise voh kaali andheri raat mai tim timaate sitaaro ki tarah,
Jaise voh kisi chote bacche ki sharaarat ki tarah,
Jaise voh pehle pyaar ki tarah,
Ya apno ki diya voh us vaar ki tarah,
Jaise voh bin bulaaye mehmaano ki tarah,
Ya jaise voh apne voh poorane khaas doston ki tarah,
Haa yeh aa hi jaate hai,

Haa maana ke yeh aane mai kabhi kabhi thodi si derr kar dete hai,
Us Pehli mohabbat ki tarah,
Par yeh aa hi jaate hai.

© Aahaan