...

2 views

mein aur tum
Mein simta kuch lafz mein hun
Tu khoobsurat Chand si kavita
Mein Kora kagaz tu ek naami kitaab
Mein faqat ek sher tu nayab si gazal
Mein patjhad mein sukhe patto ka dher tu baadiyon mein khilta gulaab
Mein ek kale rang sa chitr tu ek rangeen khwaab sa
Mein baarish ka ek boond hun tu hai samandar sa
Mein Nadi kinare pada koi patthar tu Kohinoor sa chamakta hira
Mein hun ek bhoola hua kissa tu har mehfil ki mashoor kahani
Mein hun kya chahe zamane se pooch lena tu hai kya ek baar meri aankhon mein dekh lena