...

29 views

Dastan-e-dil...
Nazron k teeron se aise hue ghayal, hai zakham itne ghaire jaayenge bhi na sil,
Karishma e kudrat kehlo ya Kismat ka khel sara,
Azaad c do roohein yun hi gayi thi mil,
Fir ik aesa mod aaya zindagi ki raah pr ho Ajnabi vo bichde jinki ek hi thi manzil...

Ab kya tumhen batayen ye dastan-e-dil,

Husn unka husn-e-kamaal hai,
Chehra badr-e-munir hai,
Unhein dekh kr jal uthte lakhon chiraag saare,
Vo hasse toh ho jaati thi roshan sabhi fizayein,
Aaj Vo kr gaye andhera, jinhen dekh kr kbhi, humari ankhon m sitaare karte the jhilmil...

Ab kya tumhen batayen ye dastan-e-dil,
Dastan e dil ab kya tumhe batayen...

Hai rabb bhi ab naraz, meri ab vo bhi nhi sunta,
Allah k baad jiska jubaan pr naam tha shamil,
Kasoor nhi koi unka, sb meri hi galti hai,
Ye toh husan ki hai fitrat ye pal pal badalti hai,
Bohot tha samjhaya, iss dil k darwaje pr pehre bhi the lagaye, fir bhi na jane kaise vo hogaye dakhil...

Ab kya tumhe batayen...
© Demon