...

19 views

YEH AANSU...
Jab hum chahte na ho toh,
Kyun behte hai yeh kambakht aansu.
Kyun humare bas me na aakr,
Itna satate hai yeh aansu.
Kyun bana dete hai kamjor
hume iskadar,
ek boond bhar hokr bhi,
Mann ka saara bojh halka
kar jaate hai yeh aansu.
Kabhi kamjor toh kabhi halka
Kyun kar jaate hai yeh aansu.
Koi bata de hume ki
kya rishta hai hamare beech,
Jo kabhi khushi me bhi
beh jaate hai yeh aansu.
Shayad yeh pyaar ka hi rishta hai,
Jo humare hi ruthne par khudh
ko kurbaan kar jaate hai
YEH AANSU....