...

2 views

Halat
zindagi mai halat ate rehte hai
kabhi khusi ke kabhi gum ke
hame apni manzil kabhi bhoolni nahi chahiye
ki humne badi mehnat karke
zindagi ko sawara hai
subah hote hi ghar se kadam bahar nikala hai
na bhole hai woh din jo pasina bahake
pet ko pala hai
zindagi ko kadi mehnat karke
zindagi ko sawara hai
mujhme ummed ka diya jalana tha
thokar kha kar sambhalna tha
aj woh zindagi ki raahe sukoon mai ho gai
mehnat karte karte jawani kho gai
4 din ki zindagi mai
khusiyo ka pal kam tha
jo bhi mila woh mera naseeb tha
haar na mani zindagi mai
isliye zindagi ko sawara hai
Safiya khan