...

1 views

Viraaniyat~
Tanhayiaan saathi ban gayi waqt ke saath,
Duniyaa viraan hogayi waqt se saath.
Yeh duniya viraan toh nahi,
Par log yahan hai hi Kahan?
Sab toh mashroof hai zindagi ke mashle suljhaane mein,
Yahan koi khush kahan?

Ab kahan koi kisi ka sochta hai,
Sab toh bas apni zindagi sudharne mein lage hai,
Koi kisi ki zindagi ka villian bana hai, ya toh masiha,
Bas ab do hi kirdaar Zinda hai is jahaan mein,
Baaki saare so Gaye.
Viraan hogayi yeh duniya khushiyon se,
Udaasiyon ke badal chah gaye.
Ab toh ghutan hoti hai,
Chaaron ore dekh kar jahan log toh hote hai,
Par sabhi ajnabi.
Aaj toh apne bhi munh mod lete hai,
Parayon se kya hi koi umeed kare.
Yeh duniya viraan hai,
Un khush mijaaz logon.
© Shines