...

18 views

MERA HAMDAM MERA AKHBAAR.... ☺️😊
Saja ke mehefil baramade me Mai aur mera akhbar roj subeh subeh dher saari baate kiya karte the

Us vakt hame koi jara sa bhi pareshaan kare ye ham katayi bardast nhi kiya karte the

Bas chaye ke cup ko hi ham apni es mehefil me shamil hone ki ijajat diya karte the Hamara sauk dekh kar to mohalle wale bhi aksar chauk jaaya karte the

Agar kisi din hame hamare darwaje par akhbaar na dikhe
to ham chilla chilla kar saara ghar sir par aise uta liya karte the
Ki jab tak hame hamara akhbaar na mile ham tab tak shaant nhi hua karte the

Akhbaar wale ko bhi Kabhi kabhi khub suna diya karte the
Par akhir ham kare bhi to kya kyuki ham apne akhbaar se beeintiha pyaar jo kiya karte the

kabhi kabhi ham Khabro ki geherayi me etna jyada doob jaaya krte the
Ki patni ji ko bajar le jaane wala din hi bhul jaya karte the

Par ham bhi ek number ke ustaad pati hua karte the
khila ke unhe unki manpasand thele wali chat or thandi thandi kulfi jhat se mana liya karte the

Lekin vakt ne moda rukh jindagi ka kuch aise
Ki phir kabhi laut ke aa nhi sake din pehele ke jaise
Kyuki chin chuki hai meri hi aakho ki roshni mujse
Jin najro se ham pehele apne dost se baate kiya karte the

Aab bas un najro me kaid hue lamho ko hi yaad kar paate hai
Akhbaar ke peeche pheeche na jaane ham pehele kitni shararte kiya karte the
Par us Hadse ki vajeh se meri hasi bhi mera saath chod gyi
Or udaasi taufe me de gyi

Subeh ki chaye or baramade ki kursi dono hi feeke lagne lage
Kyuki mere raat or din to ab bistar par pade pade hi gujarne lage
Haaseen subeh bhi ab udaasi ke naam ho gyi
Kyuki meri rangeen jindagi bhi ab berang ho gyi

Phir kuch dino baad Patni ji ne hamare kamre me ek radio laake rakha......
or daat ke saaf saaf kaha bhi ki...
Khabdaar jo ese meri marji ke bina band bhi kiya
Uske baad baja jab agle din radio khub jor se
caupat ho gyi meri neend bhi saari us farraatedaar shor se

suru hua jab achanak se Radio me khabro ka silsila wala koi program
Ruk gye haath bhi mere chuste chuste raseele aam
Man me bhi machi thodi halchal ye jaane ki
Kya btayi jayegi yha baate mere us khaas dost ki

Tha mera shak bhi yekeen me badale ko bada besabr
jab pata chala mujhe ki sach me baj rhi hai radio par aaj ki taja taja khabar
Sun ke ye Khushi jhoom utha dil mera aur naachne laga andar hi andar hoke besudh or bekhabar
Mit gye mere dil par lage saare jhakam
Kyuki mil gya mujhe ek baar phir se mera dost mera ham dam.