...

15 views

BAS DO LAFZ MAA LE LIYE(PART 1)
Kasie bachpan mein ungli daal ke chalna sikhaya tha unhone

Bhagte bhagte gir jata tha to
Uthna sikhaya tha unhone

Ghar mein sab se phele uth ke har kaaam karti hai wo aaj bhi

Sab ki daant sun kar bhi
Khamosh rehti hai aaj bhi

Mere face pe shikan bhi ajaye
To pehchaan leti hain wo
Main kitna bhi daant lu ,suna lu
Phir bhi muskurati rehi hai wo

Thodi si anpad hai
Do roti mangu to charr rakh deti hain
150 rupya mangu to 200 rakh deti hai

Par koi ni, maa to maa hai

Bachpan se lekar aakhiri saans tak, maa humare liye bahut kuch karti hai aur ye samajhte samajhte humari puri umr nikal
Jati hai

Haddiyo ke tutne jitna dard
Jhel kar humein paida karna

Raat raat bhar jaag kar
Humein chain se sulana

Humare bhuk lagne se pehle humare liye swadish khana
tayar kar lena

Ghar ke har ek sadasye ki zimmedaari ko pure dil -o
Jaan se nibhati hai

I love you maa
@arpitverma