...

7 views

Kya hota...🤌♥️🌸
Unhone pucha agar hum pass hote to ky hota......to likhti hu....

Agr tu hota to amavas mai bhi chand hota..🌙

Agar tu hota to garmi ka na ahsaas hota....🤍na sardi ka odha libaas hota...🌸

Agar tu hota to na bhuk lagti na pyass....🤏na tere vapis ane ki vo aas...👣👀

Agar tu hota to tughe gale se lga leti...🫂tughe humesha ke liye apna bna leti...🤌🙂

Agar tu hota to kabhi teri baahon mai roti...🥺to kabhi tughe apni god mai sula leti...😌

Agar tu hota to na raat dhalti aur na din nikalta...🌙na tughe khone ka vo dar khalta...🫂

Agar tu hota to teri aankhon ke samunder main doob jati...👀tu dhundta reh jata aur mai dil main utar jati....♥️

Agar tu hota to sau bar teri nazar uthar leti...🧿aur koi puchta jo rishta humara to tughe apna keh leti...🤌♥️

Sare dukho ka dard aur dawa ye agar hai...🥺
Kash mai aa skti tumhare pass par bich mai ye jamane ka samandar hai....👀🌊

© All Rights Reserved