...

11 views

Acha Tha
anjane the ,, thoda pehchan hua
acha laga ....
baate badhi ..jazbaat badhe
hasna- hasana ..thik tha..
bhul tab hua
jab maine tumhare ansu dekhe..
tumne jab khudko mere aage beparda kar diya..
jab main tumhare rooh se mili..
bhul ho gaya ..
janke , ya anjane mein..
samjhna chaha ,,suljhaana chaha
ya uljhana chaha khudko..
bhul tab hua..
jab tumne roka nahi ..
ulajhne diya ..khudko bhi aur mujhe bhi..
sukun tha uss galti mein..

bhul bhi zyada tikta nahi ..
Tum thehre zimmedaar insaan..
bhram se nikal ke sachai ko
maan bhi gaye..
Acha tha..
Bhul to tab hua
jab mujhe sachai se tumne waakif karwaya ..
khich ke bhram se nikal diya ..
sochne ka na samay tha ,,
na hi sabr ..
bhram tha,, sachai bhi ..
dil toota ,,hasratein bhi ..
kuch pal ka aaram bhi to tha,,,
Acha tha ...