...

10 views

Ki ginti agar karne baithu....
Ki ginti agar karne baithi,
Ki jabse tune ye thaama haath chhoda Hain,
Tu duniya hasti Hain mujhpe ,
Ki ginti agar karne baithu ki kab Tera deedar hua tha mujhko,
Ye duniya mujhpe hasti hai,
Ki ginti agar karne baithu,
Ki Kuch baatein kab baati thi tujhse,
Toh ye duniya mujhpe hasti Hain,
Ki ginti agar karne baithu ,
Ki Tera Intezaar kabse Kar rhi hu,
Toh bhi ye duniya mujhpe hasti Hain,
Wo intezaar Tere wapas aane ka nahi,
Bas ki tu ek dafaa meri fikr Kar mujhe yaad Kar,

Ye duniya Kyu anjaan Hain,
Ki maine haath abhi bhi Tera thaama hua Hain,
Ki Kal hi sapne me deedar tu apna de gya tha mujhko,
Ki baatein din-raat main karti hu tujhse,
Ki intezaar bhi Tera mujhe pyaara Hain....