...

12 views

Mera Desh Bohot Mahaan Hai🇮🇳
Koi hai hindu yahan toh koi musalman hai

Dharm mein bath gaya aaj har ek insaan hai

Nafrat ki deewar ab dilon ke darmiyaan hai

Siyasat ki iss aag mein jal raha hindustan hai


Khudh khushi ke liye majbur har kisaan hai

Berozgaar ghum raha aaj har naujawan hai

Par hum toh troll karne mein pareshan hai

Siyasat ki iss aag mein jal raha hindustan hai


Bhuka marrta hua woh bachcha nadaan hai

Betiyon ki izzat loot lena bhi kitna asaan hai

Sab dekh samajh kar bhi hum bezubaan hai

Siyasat ki iss aag mein jal raha hindustan hai


Corona virus ki maar se har koi anjaan hai

GDP ki growth mein bhi ab sirf nuksaan hai

Border par aaj desh ka marr raha jawaan hai

Siyasat ki iss aag mein jal raha hindustan hai


News channel toh ab sirf jung ka maidan hai

Social media par bhi ab sabhi ko gyaan hai

Par asal muddon par yahan kiska dhyan hai

Siyasat ki iss aag mein jal raha hindustan hai


Koi mujhse jab puchta meri pehchaan hai

Hindustani hoon yeh kehna hi meri shaan hai

Mera desh mera tiranga mera abhimaan hai

Yeh bharat desh hai mera aur mera desh bohot mahaan hai

Yeh bharat desh hai mera aur mera desh bohot mahaan hai

#shayarindia #India #WritcoQuote #Love #Life #inspiration #writers #Shayari #Poetry #poem
© shayarindia