...

3 views

Saza
Tumse pyaar karne ki,
Ek galati huyi thi....
Un nazron me khudko Pane ki,
Ek nasamjhi meri thi....
Yun toh aaye the bahar ban kar,
Aur sab ujaar ke chale gaye....
Mud ke ek baar bhi na dekha,
Jin andheron ke gali me chhor gaye....
Har woh yaadein tumhari,
Ab bhi jakad ke rakha hai dil ko....
Rag rag me behte huye dard se,
Aaj tak nikal nahi payi khudko.....
Bohot aasan tha na?
Yun dil ko tukdo me badalna...
Ek zinda insaan ki zindagi,
Aasthi bana kar baha dena....
Ab toh sukoon mila hoga tumhe,
Meri zindagi ka noor jo liya hai....
Koi aur gunehgar hokar bhi,
Umarqaid ki saja maine kata hai....
Par koi shikwa nahi tumse,
Afsos ki umeed bhi nahi hai....
Bas jo tadap hai khudke andar,
Usse azaad hokar jeena hai....
Itni si toh mohlat mil jaaye,
Chain se rukhsat ho sake hum...
Jeete-jee rakh toh ban hi gaye,
Kaise loon ab koi inteqam.....
Maaf toh kar diya tumhe,
Bas un raaton ka hisab lena hai....
Tumhari nafarmani ka khamiyaza,
Ab tak toh maine uthaya hai....
Bewafa karar toh kar diya mujhe,
Har ilzaam se khudko saraha hai....
Hai hazaron daag chaand me bhi,
Roshni tab bhi muqammal hai....

                   ~~~Pujashree❤
© Pujashree