...

17 views

Faasla
Lockdown Ka waqt tha, Corona Ka zamana tha,
Kahi koi insaan ye duniya Chor jaa Raha tha to, Ghar Ghar se Duao Ka shor aa Raha tha..
Koi doctor Apne MAA ke aanchal ko Chu nehi paa Raha tha to, koi aashiq Apne maashooka se mil nhi paa raha tha..
Isse kaiii umda bhagya to hamara tha, Kam se Kam , hamara phone, 4g data, WiFi aur chatting to chl Raha tha.....
Online class chl Raha tha, pdf se parne Ka aadat ban raha tha,
Isi bahane Kai premiyo ko personal phone bhi mil Raha tha, Kam se Kam...Kam se Kam is chatting se doori Ka ahsas to Kam Raha tha......
Pehli Baar personal number Mila tha, mere premik Ka Dil to Baag Baag ho Raha tha,
Din b din chatting Ka samay bar Raha tha, magar bevakuf sa ham dono ki smjh hi nehi paye chatting ke saath Saath to faasla BHI dheere dheere badh Raha tha .....
Pyar me mashgool, sang sang reply dene Ka rule Bana Raha tha, lekin use na nibhane par jhagra bhi Kuch Kam nehi ho Raha tha....
Status me ek dusre ke liye hidden message wala riwaaz chl Raha tha, to dusri taraf Uske Dil me ego Ka pahar sa ban Raha tha
Prasad dene ke bahane Milne Ka planning chl Raha tha to dusri taraf mere man me maano koi zid Ka shawl boon Raha tha.
Harek photo par ek dusre ke liye taarifon Ka commentry to chl Raha tha , magar dusri taraf matbhed Ka jharna bhi beh Raha tha....
Pgla tum pagli main,
Na tum smjhe, na main smjhi, ye faasla to pith piche badhte jaa Raha tha...
Isi tarah din bite, mahine bite, aur dekhte hi dekhte vo din aya , jis din thik 2 saal pehle, hamare hotho se pehli baar pyar ka ilm ho raha tha... Usi din, usi din is baat ka khushi to man raha tha magar dusri hi taraf paas rehkar bhi door jaane ka pehli baar ahsas ho raha tha.. ..
Ranjha mere, heer mere na tum smjhe na hi smjhi main,...ye faasla to bahut hi zyada bar chuka tha.
Na hi chatting se baat bolne ka tehzib smjh aa raha tha aur na hi ye jhagra rukne ka naam le raha tha, bs yuhi dekhte dekhte galat fehmiyo ka bojh barhe jaa raha tha ..
Lg raha tha maano koi roz ek ghunt Zeher pila raha tha,.
Aakhir aur kitna door honge ham, man me sirf yehi ek sawal gunj raha tha..
Koi aam din ho ya ho hamara janamdin , ye jhagra to jaise dimaag ko sunn aur dil ko khokhla kr raha tha....
Aise hi din bit gaya, aise hi raat bit gaya aur dekho aaj is kismat ke dastoor ko .,
3 mahine ho gaye, reply hamara 4 ghante baad aur text me sirf emoji deliver ho raha tha ..
Aaj yun haal hua hai mera ki raat ko kal bhi rishta tootne sapna aa raha tha,
Aaj jaake smjh aaya ki ye faasla to khud me puri tarah kamyab ho chuka tha......
© Eshita Ghosh

Faasla(chatting side effects)
To avail it's audio version, please go through my channel mentioned in my bio.🙏
#Poetry #writco #Love&love #eshita1002