...

3 views

sikhana kya hai.....
kuch galtiyon ne sikhaya ki sahi kya hai
kuch mamuli cheezo ne sikhaya ki ahemiyat kya hai
kuch akele pan ne sikhaya ki sath rehna kya hai
kuch bewafaai ne sikhaya ki wafa kya hai
kuch adhure pun ne sikhaya ki pura hona kya hai
kuch thukraye jane se sikha ki apnana kya hai
kuch matlabi rishto ne sikhaya ki sacha rishta kya hai
kuch gile palkho ne sikhaya pyaar bhari annkhe kya hai
kuch gujarate lamho ne sikhaya ki wakt ki ahemiyat kya hai
kuch galat logo ne sikhaya sahi insaan paana kya hai
kuch girate lamhone ne sikhaya ki sambhalna kya hai
pyaar krna kya hai
dosti nibhana kya hai
is dil ne sikhaya dard ke hote hue bepaanha zindagi jeena kya hai