...

7 views

Agar main Ustaaz na hota?If I were not a teacher?
Agar main Ustaaz na hota to ye izzat kahaan milti?
Agar main Ustaaz na hota to ye marifat (popularity)kahan milti?
jo ye alfaaz ka ambaar kabhi aasaan kabhi dushwaar,
mujhe maloom hai,na aa paata na dikh paata,
Agar main Ustaaz na hota-
ye muskurahat jo tum aksar dekhte ho is chehre pe -
tumhari baaton se na aa pati agar main Ustaaz na hota-
shor-o-gul ki mehfilen jo tumhari classon main sajti hain,
lipat ke kaagazon me kashtiyaan jo apna rukh badalti hain-
Agar main Ustaaz na hota to ye sharart kahan dikhti-
na shor aisa dikhpaata, ye khilkhilahat kahan dikhti-