...

8 views

Ye shor mujhe accha lagta hai
Ye shor mujhe accha lagta hai
Khamoshiyan sunai nahin deti
Yadain dikhai nahin deti
Sannate chubte hai kaano ko
Shaamon ka intizar ab nahin rahta
Nind kam aati hai ab, karar nahin rehta
Sukun ki talab ab nahin rehti
Khushiyon se sarokar ab nahin rehta.
Khamoshiyan sunai nahin deti
Ye shor mujhe accha lagta hai
© summerof2000