...

19 views

Galat samajh bethe
Wo khaamosh tha
buzdil nahi
Masoom tha
bewakoof nahi

bardaash karta raha
sab jaante huway bhi
wo sirf chup tha
andha nahi

dekhta raha sab kuch
sab ke badalte rang bhi
thak kar ruk Gaya tha bus
par toot kar bikhra nahi

haare tum
jub kamzor samjha
wo sirf ruka tha
jhuka nahi

wo bolega to kabhi nahi
sabr bus wo bandhe rakhega
jaanta hai wo Allah ke yahan
der hai andher nahi
© Sakina