...

57 views

The Legend M.S.DHONI ❤Happy birthday
* Zarkhand (Ranchi) se jo aaya hai..
Badi mushkil se apna naam jisne kamaya hai....
Har kisi ke dil pe woh aaj bhi chaya hai...
Usne toh khel mein bhi jazzbaat laya hai...

*M.S.D ka bat jab jor se ghumta hai....
Toh pura desh khushi se jhumta hai..
Reh kar piche stumps ke bhi woh game pura change karta hai...
Batting karne aaye ground pe toh helicopter shot marta hai...

*woh toh ek samundar hai Mahi jiska naam...
Bahar se hai shant lekin andar se hai tufaan...

* zindagi mein usne har jagah dhakka khaya hai...
Tapti dhup mein khud ko tapaya hai...
Kayi saalo baad humare desh ko usne jitaya hai...
Cricket mein usne naya itihaas rachaya hai....

*Captain Cool ke naam se hai jiski pehchan..
Uss khiladi ko mera pranaam..
Apne desh ka gaurav jisne kabhi jhukne na diya..
Uss Mahan Insaan ko mera salaam...

*Aayenge lakho khiladi maidan par..
Tere siwa koi nahi karega raaj humare Dilo par...
© The Dreamer