...

1 views

Zindagi ke Rang 🖤
Ye zindagi bhi kitni ajeeb haina?!
Kabhi lagta hai, bas isi pal mein jeete rehna hai, sab kuch haseen lagne lagta hai.
Lekin us ek khushi ke baad hi, udaasi ke saaye ghane ho jaate hain,
Jaise woh intezaar mein the, kab woh laut aayein.
Khushi toh bas ek mehmaan hai,
Aur takleef jaise humari raah hi dekhti rehti ho.
Ek din lagta hai sab kuch achha hai lekin phir baad mein kyun dil par ek ajeeb sa bojh chha jaata hai?
Kya kisi se kahoon, kaise khudko hi samjhaun, mein khud hi kuch samjh na paaun.
Bahaar se ek jhoothi muskurahat laga ke ghoom bhi leti hoon,
Duniya ko lagta hai, sab kuch theek hai,
Par andar ek khaali jagah hai jo kabhi bharti hi nahi.
Sab mere saath hain, mere apne hain, Lekin khamoshi mein bas ek hi sawaal nikalta hai –
Kya faayda in rishton ka,
Jab apni udaasi kisi se baant hi na paaun?
Waqt aisa hota hai ke saans lene mein bhi mushkil hoti hai,
khushi ke pal toh kabhi rukte nahi,
Aur main phir se usi udaasi mein doob jaati hoon.
Mujhe lagta hai, mere dard ko koi samajh nahi paata,
Log sun kar apni hi tarah se matlab nikaal lete hain,
Kya hum itne akele hain?

Shayad, ye mere hi dimaag ka khel hai. Lekin samajh kar bhi, kya kuch badal paata hai?
Kya yeh meri hi soch ka asar hai?
Kya hamesha mujhe khud ko hi samajhna padega?
Kyun itni mushkil hoti hai ek sukoon bhare pal ko thaharane mein,
Kyun har khushi ke baad ek khamoshi si chha jaati hai?
Zindagi bhi badi kamaal hai,
Kabhi khushnuma rang mein rang jaati hai,
Toh kabhi wahi rang aansuon mein ghul ke,
Ek halka sa dard ban ke reh jaata hai.
Kyun khushi ke pal bas ek khwaab se lagte hain?
Kabhi sochti hoon, kya yeh meri hi kami hai?
Ye tanhaayi bhi ajeeb cheez hai,
Jaise hawa hai, par haath mein pakad nahi sakte,
Jaise ek shor hai, par sunayi nahi deta.
Jaise zinda hoon par jee nahi paa rahi hoon mein.
Kitne sawalon ke jawab chahiye is zindagi se,
Aur jo chahiye, woh kabhi milta nahi.
Shayad, mujhe khud hi apne jawab banane padenge,
Shayad, mujhe hi khud ko sambhalna padega..humesha ki tarah.
Par kyun yaar…
Kyun aakhir zindagi aise imtihan leti hai,
Jo kabhi khatam hi nahi hote?
Kya yeh sab mujhe aur mazboot banane ke tareeke hain? Shayad yeh tanhaayi, yeh udaasi hi woh raaste hain Jinke paar kahin sukoon hai, Ek din woh sukoon bhi mujhe milega.
Tab tak ke liye, yeh ajeeb zindagi hai, par jaisi bhi hai, meri hai..🙂