...

2 views

Mahamaari ya Mayajaal?
Hua duniya ka kya ye haal,
cheen hi hai iski asal wajah,
ya prakriti ne buna koi Mayajaal?

insaano dwara anginat awishkaar,
prakriti ka hua hai aneko baar bahishkaar,
phir bhi dikhaya maa jaisa pyaar,
banti rahi ek sehej kalakaar,har baar.

par ab lagta hai jaise prithvi Hui atyant laachaar,
badal rahi iss duniya ka aakaar,
manushye or prakriti ke beech ki ye takraar,
lagta hai jaise kar degi sab kuch bekar,
par naa chahta koi ho ye sab saakaar,
isliye ham na maanenge kabhi bhi haar,
dat kar krenge iss mahamaari ka poorn sanghar!
–Bhoomi Vashishta