...

3 views

Ab shayad wo baat Nehi rahi.
Ab shayad wo baat nehi rahi humare baton main,
Khus aaj bhi hain hum tumhe muskurate hue dekh k,
Ab shayad wo baat nehi rahi humare muskurahoton main.
Aaj bhi dekh k tumko, dil tham sa jata hai ek pal ko,
Ab shayad wo baat nehi rahi humare dhadkano main.
Ubau lagne laga hai ab saath humara,
Zahir hai
Ab shayad wo baat nehi rahi humare mohabbat main.
Nayapan kahan se layen baton main,
Jab dhadkene hi badal gayi hain,
Chalo samjha liya khud ko aaj k.
Ab shayad wo baat nehi rahi humare baton main.
© amitmishra