...

10 views

SAFAR...
Raaton ko ret par karwat badalte rahe

Subah jab hui toh dhoop mein jalte rahe


Na manzil thi mere paas na tha koi pata

Yunhi anjaan raaston par hum chalte rahe


Kabhi gir ke uthe toh kabhi uth kar gire

Har baar thokaron se hum sambhalte rahe


Loha samjha tha humne khudhko magar

Gile mom ki tarah pal pal pighalte rahe


Chot itni hai khayi ke zakhm nasoor hogaya

Phir bhi apne zakhmo ko hum silte rahe


Ab toh khudhse hone lagi hai nafrat magar

Hum har baar ki tarah hi aaina badalte rahe
© shayarindia
#shayarindia #WritcoQuote #Life #writers #Shayari #Poetry #poem #LifeQuote #quoteoftheday #writco