...

5 views

Hum Rahe ya Na Rahe
Ham rahe ya na rahe,
Tum mujh mein hamesa rahana,
saya na sahi saanse bankar hamesa chalna,
Es dil ko hamesa apne dil me dhadakne dena,
Ehsaas bankar mere rooh me bus jana,
wahin ek chhota sa ghar bana lena,
Hum rahe ya na rahe,
Tum mujhme hamesa rehna.

Mera Yun Hi hamesha khyal rakhna,
mere khayalon mein Aate rahana,
mere chehre ka ronak badhate rahana,
mere jindagi ki aroma Bankar,
mujhe hamesha mehkhate rahana,
Ham Rahe ya Na Rahe,
Tum mujhmein hamesha rahana.

Mujhe Apne bahon mein aise panaah dena,
jaise heer ne ranjha ko diya tha,
Laila ne majnu ko diya tha,
usi tarah Meri Rani ,
Tum mujhe apni bahon mein panaah dena,
Ham Rahe ya Na Rahe,
Tum mujhme hamesha rahana.

Ek talab si rahti hai tumko dekhne ki,
Na jaane tujh mein Kya dikhta Hai,
Tumhen dekhkar Ek alag sa sukun milta Hai,
Hum Rahe ya Na Rahe,
Tum mujhme hamesha rahana.

Meri Rani Tum hamesha khush rahana,
Apni khwahishon ko kabhi adhura Na rakhna,
Ek Azad panchi sa ban,
Hawaon se baate karna,
Hamesha unchi udan bharna,
Ham Rahe ya Na Rahe,
Tum mujhme hamesha rahana.

- Abhishek Kumar Mishra