...

1 views

โ€œ๐‹๐ˆ๐Š๐‡๐๐„ ๐–๐€๐€๐‹๐€ ๐Š๐€๐”๐?โ€

๐™„๐™จ ๐™ฅ๐™ค๐™š๐™ข/๐™ ๐™–๐™ซ๐™ž๐™ฉ๐™– ๐™ ๐™š ๐™™๐™ฌ๐™–๐™ง๐™–, ๐™ ๐™–๐™ซ๐™ž ๐™–๐™ฅ๐™ฃ๐™ž ๐™จ๐™ค๐™˜๐™ ๐™ ๐™ค ๐™ซ๐™ฎ๐™–๐™ ๐™ฉ ๐™ ๐™–๐™ง๐™ฉ๐™š ๐™๐™ช๐™š ๐™ ๐™š๐™๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž๐™ฃ ๐™ ๐™ž, ๐™Ÿ๐™–๐™— ๐™จ๐™–๐™— ๐™ก๐™ค๐™œ ๐™—๐™–๐™จ ๐™ฅ๐™–๐™™๐™๐™ฃ๐™š ๐™ข๐™š๐™ž๐™ฃ ๐™๐™ž ๐™ ๐™๐™ค ๐™Ÿ๐™–๐™–๐™ฎ๐™š๐™ž๐™ฃ, ๐™ฉ๐™ค๐™ ๐™ก๐™ž๐™ ๐™๐™ฃ๐™š ๐™ฌ๐™–๐™–๐™ก๐™š ๐™ ๐™–๐™ช๐™ฃ ๐™—๐™–๐™˜๐™๐™š๐™œ๐™–? ๐˜ผ๐™ก๐™›๐™–๐™–๐™ฏ ๐™–๐™ช๐™ง ๐™Ÿ๐™–๐™ฏ๐™—๐™–๐™–๐™ฉ ๐™Ÿ๐™ค ๐™™๐™ž๐™ก ๐™จ๐™š ๐™ฃ๐™ž๐™ ๐™–๐™ก๐™ฉ๐™š ๐™๐™–๐™ž๐™ฃ, ๐™ช๐™ฃ๐™๐™š ๐™จ๐™–๐™ข๐™–๐™Ÿ๐™๐™ฃ๐™š ๐™–๐™ช๐™ง ๐™—๐™–๐™ฎ๐™–๐™ฃ ๐™ ๐™–๐™ง๐™ฃ๐™š ๐™ฌ๐™–๐™–๐™ก๐™– ๐™š๐™  ๐™–๐™–๐™จ๐™๐™ž๐™ฆ ๐™๐™ž ๐™๐™ค๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž, ๐™–๐™ช๐™ง ๐™–๐™œ๐™–๐™ง ๐™จ๐™–๐™— ๐™จ๐™ž๐™ง๐™› ๐™ฅ๐™–๐™™๐™๐™ฃ๐™š ๐™ก๐™–๐™œ ๐™Ÿ๐™–๐™–๐™ฎ๐™š๐™ž๐™ฃ, ๐™ฉ๐™ค๐™ ๐™ฌ๐™ค๐™ ๐™Ÿ๐™–๐™ฏ๐™—๐™–๐™–๐™ฉ ๐™ ๐™–๐™ช๐™ฃ ๐™Ÿ๐™š๐™š๐™ซ๐™ž๐™ฉ ๐™ง๐™–๐™ ๐™๐™š๐™œ๐™–?


Agar sab log padne lag jaayein,
Toh likhne waala kaun bachega?
Alfaaz jo dil se nikal kar aayein,
Woh ehsaas phir kaun samjhega?

Kalam ki nok par jo aansoon the,
Woh shayari se phir kaun likhega?
Jazbaat jo raaton mein yun bikharte hain,
Unme jaan phir kaun dalega?

Kitabein toh yaadon ko raah dikhayegi,
Par woh yaadein phir kaun pehchanega?
Jo likh kar humne dard bayan kiye the,
Woh lafzon ka safar kaun samjhayega?

Kalam mein jo gham chhupa tha,
Us gehrayiyon ko kaun bhar paayega?
Agar sab padhne lage doosron ki kahaniyaan,
Toh apni kahani phir kaun likhega?

Jo lafz kalam se beh gaye,
Unka ehsaas kaun jagaaayega?
Agar sab log padhne lag jaayein,
Toh likhne wala kaun rahega?

Jo nazar chupke se girti thi kagaz pe,
Us lamhe ko phir kaun jeeyega?
Kuch armaan jo chhod diye raahon mein,
Unhe phir kaun yun paayega?

Jin ghazlon mein chhupi thi raatein,
Un raazon ko kaun samjhega?
Ek khamoshi jo lafzon mein bolti thi,
Woh aawaz ab kaun sunega?

Jo khat likhe the tannhaayi ke lamhon mein,
Un khaali parchiyon ko kaun bhar paayega?
Agar sab kho jaayein yun-hi padne mein,
Toh likhne wala kaun hi rahega?

Woh pal jo bas kalam ke saath the,
Un palon ka hisaab kaun le paayega?
Jo kho jaayenge apni hi kitaabon mein,
Unke jazbaat kaun likh paayega?

Jo likha tha kisi intezaar mein,
Woh dastaan kaun dhoondh paayega?
Agar sab doosron ke afsaaney hi padhenge,
Toh apne jazbaat kaun likhne aayega?

Is sheher mein sab hai apni kitaabon mein gum hain,
Par woh kitaab, jo zinda hai abhi, kaun likh payega?
Jis soch ki gehraayi mein sab kho gaye hain,
Us gehraayi ka sheher ab kaun basa payega?

Agar sab log padne lag jaayein,
Toh likhne waala kaun bachega?
Woh ehsaas jo tha zindagi ke har qisse mein,
Us kisse ka anjaam phir kaun likh payega?


โ€œ๐—”๐—ด๐—ฎ๐—ฟ ๐˜€๐—ฏ ๐—น๐—ผ๐—ด ๐—ฝ๐—ฎ๐—ฑ๐—ต๐—ฒ ๐—ฑ๐˜‚๐˜€๐—ฟ๐—ผ๐—ป ๐—ธ๐—ถ ๐—ต๐—ถ ๐—ฏ๐—ฎ๐—ฎ๐˜๐—ฒ๐—ถ๐—ป,
๐—ง๐—ผ๐—ต ๐—น๐—ถ๐—ธ๐—ต๐—ป๐—ฒ ๐˜„๐—ฎ๐—ฎ๐—น๐—ฎ ๐—ฝ๐—ต๐—ถ๐—ฟ ๐—ธ๐—ฎ๐˜‚๐—ป ๐—ต๐—ถ ๐—ฏ๐—ฎ๐—ฐ๐—ต๐—ฒ๐—ด๐—ฎ
๐——๐—ถ๐—น ๐˜€๐—ฒ ๐—ป๐—ถ๐—ธ๐—ฎ๐—น๐˜๐—ถ ๐—ฏ๐—ฎ๐—ฎ๐˜๐—ฒ๐—ถ๐—ป ๐—ฝ๐—ต๐—ถ๐—ฟ ๐—ธ๐—ฎ๐˜‚๐—ป ๐˜‡๐—ถ๐—ป๐—ฑ๐—ฎ ๐—ฟ๐—ฎ๐—ธ๐—ต๐—ฒ๐—ด๐—ฎ?
๐—”๐˜‚๐—ฟ ๐—ฎ๐—ฝ๐—ป๐—ฒ ๐—ท๐—ฎ๐˜‡๐—ฏ๐—ฎ๐—ฎ๐˜ ๐—ฝ๐—ต๐—ถ๐—ฟ ๐—ธ๐—ฎ๐˜‚๐—ป ๐—ต๐—ถ ๐—น๐—ถ๐—ธ๐—ต๐—ฒ๐—ด๐—ฎ?โ€


- ส™ส สœแด€ส€แด…ษชแด‹ แดŠแด€ษชษด. ยฉ
ยฉ Hardik Jain