...

3 views

khamosh rahu
Dil karta hai ki ab khamosh
rahu, kuch na bolu bs sabki
sunu, ab kuch v bolna aacha
hi nahi lagta hai, bhut muskil
hota hai khud ko rok paana,
har wqt lagta hai jaise ki kuch
toot sa gaya hai, kuch kho sa
gaya hai, kahi kuch aacha hi
nahi lagta, samaye kitna jaldi
badal jata hai, insaan badal
jaate hai, halat badal jaate hai,
par dil ke jazbaat badalte hi
nahi hai, aisa lagta hai jaise
samaye ruk sa gaya hai, kaatna
muskil ho gaya hai

© Naira Singh