...

7 views

Meri zindagi ek kissa hai
Meri zindagi ek kissa hai
dard aur takleef uske hissa hai,
zindagi mein tootna ek kissa hai
aur khud ko sambhal lena uska hissa hai
apno ka ruthna us zindagi ka ek kissa hai
ruthe hue apno ko manana us zindagi ki
ek hissa hai,
takleefo se gujrana zindagi ek kissa hai
haste haste us takleefo ko sahe jana zindagi ka ek hissa hai
todne wale v apne the aur kato bhari
raho par chalane wale v apne hi the,
ye sab to ek zindagi ka kissa hai
aur isi kisse ko suljha lena v zindagi ka
ek hissa hai
ye kisse aur ye hisse ko sehte sehte ab
thak si gayi hu,
ab in kisso se dur jana v zindagi ka
ek hissa hai
© Naira Singh