...

1 views

"๐‚๐‡๐”๐๐€๐˜๐„ ๐‡๐”๐˜๐„ ๐‘๐€๐€๐™"

Is kavita ke dwara, kavi apni soch ko vyakt kartey huye yeh kehna chahta he ki, hum apne andar ke dard, udaasi, aur raaz ko duniya se chhupate hain. Hum khud se ladte hain, apne jazbaat ko samajhne ki koshish karte hain, lekin kisi se apna dard kehne mein hamesha dar lagta hai. Yeh kavita yeh dikhati hai ki jab tak hum apne raaz ko apne andar chhupaye rakhenge, hum kabhi apne asli astitva ko samajh nahi paayenge.

Kis se bhagte ho tum, kisme khoye ho,
Jis raaste par ja rahe ho, woh kahaan chhupaye ho?
Raat bhar jaagte ho, khud se ladte ho,
Phir bhi apni baat kyun kisi se nahi keh rahe ho?

Har pal jo tum guzar rahe ho, sab se chupate ho,
Apne hi khayalon mein khud ko kyun bhool jate ho?
Duniya se door, apne andar ki udaasi mein,
Tum khud main kho kar, kya baat keh jate ho?

Yeh chand ko roz, kya raaz bata jate ho,
Kya woh hi tumhara dard samajh pata hain?
Par woh chup hai, na koi baat bolta...