...

8 views

Mausam
Main aasaman tha toa woh aasmani mausum ki tarah thi....
Har bar woh badalti rahi par sang humesha mere hi rahi...
Main banjar sa zameen tha toa woh barish ki pheli bundh thi ...
Jaise bundhe ghirkar zameen ko sambhalti thi waise woh aakar rooh ko jagakar sambhalti rahi...
Na bundho ne zameen ko banjar hone diya aur na usne rooh ko hamesha ke liye sone diya...
Main aasaman tha toa woh aasmani mausum ki tarah thi....
Har bar woh badalti rahi par sang humesha mere hi rahi...

Main ghosla tha toa woh ghosle mai rehne wali aazad masti Moli punchi ki tarah thi...
Woh hamesha aazadi ko samjhne ghosle se bohot dur chale jati thi...
Par laut kar sukoon ko samjhne ghosle mai hi ate rehti thi...
Kabhi mausami sham mai shantsi bheti rehti thi toa kabhi raat ke tarro mai muhjse lipatkar soa jati thi...

Iss pure safar mai na aasaman ko mausam ke badalte pan se aitraaz tha na ghosle ko uss aazad mast Mauli punchi ke aazadi ka gham tha..

Main aasaman tha toa woh aasmani mausum ki tarah thi....
Har bar woh badalti rahi par sang humesha mere hi rahi...
© All Rights Reserved