...

25 views

' o shahar '
shahar teri yaad bhut aati hai...
mere jehan mai abhi bhi wo teri tasveer yaad aati hai ...
tere nukkad ki wo kaddi kchori ki mahak yad aati hai...
yaad aati hai har ek wo chiz jo bator kar apne sang laya tha main ....
uss gali ki woh khulti band hoti khidaki yaad aati hai...
courahe ke uss mandir ki ghanti , uss masjid ki azaan yaad aati hai ...
bagichho mai bcchon ki khilkhilahat , bujurgon ki chahalkadami yaad aati hai ..
patjhaad mai ptto ki wo sarsrahat , sawan ki pehali baarish yaad aati ...
haa ..abhi bhi sab yad hai mujhe

o shahar teri bhut yaad aati h

© riddle