...

12 views

Pata nhi kyun ...
Pata nhi kyu aaj bhi me usase pyaar krti hu,
uski tasveer dekh kar aaj bhi muskurati hu,

uski yade mere dimag se nikal nhi pati hu,
uski muskurahat dekh kr khush ho jati hu,

aaj woh mere samne hai pr usase keh nhi pati hu,
keh kar bhi kya kru ,
use na meri jarurat hai na mere pyaar ki,

kyoki yeh ek tarfa pyaar hai,
jo sabse alag hai,
aur kehte hai na.....
sachha pyaar bar bar nhi hota
sayad...
isiliye me usase aaj bhi pyaar krti hu ....