...

2 views

Izhar-a-ishq
Shikayat krti h wo,
Dil ki baat tum kehte nhi...
Mai kehta hun
Kya tum zara bhi samajhti nhi?
Jab tumhe dekte dekte mai
Gilas me pani zyada dal leta hun
Samajh nhi ati tab tumhe?
Jab kabhi bhi koi tumhe pukarta hai
Aur mai mudkar dekta hun
Tab bhi pyaar dikta nhi tumhe?
Bhukh nhi h aj bolkar jab tumhare hi sath
Shiv ki vrat rakh leta hun
Samajh tab bhi nhi ati tumhe?
Mera izhaar-a-ishq ab pure kaynat ko pata h
Par ik tum ho jo samajhti nhi...
Aur kehti ho mai kuch batata nhi...
Idhar tumhare pyaar pe mai jaan vaar rha
Aur tumhe sunna h bas wo baate gawara...

To lo aj kr deta hun ab aylaan apne pyaar ka...
Ki ye sach h ki tere chehre se nazar meri hatti hi nhi...
Ki teri soch mere mann se pal bhar k liye bhi jati hi nhi...
Kya karun agar dilozubaan me bas tera hi naam rehta h...
Mera mujhme ab kuch baki hi nhi...
Ki tere fizul k nakhre bhi ab mujhe bhaane lagi h,
Tu jo mere hath pakadkr ab chalne lagi h,
Rasto me pade patthar bhi mujhe dikti nhi,
Kya karun agar thokar khana bhi mujhe manzoor hone lagi h...

© shweta_banerjee