...

2 views

Khoya hua sa Sukoon
Bohot kuch kehne ka mann hai,
Par ab lagne laga hai ki kehna hi bekaar hai.
Thak gayi hoon poori tarah apne hi ehsaason se,
lagta hai aisa jaise apni soch ka bojh mujhe saans bhi nahi lene deta,
Har pal ek ghutan si hai,
Dil krta hai kahin bhaag jaaun, duniya se durr, khud ke kareeb.
Mera mann nahi karta ab baatein karne ka,
Log kehte hain ye ghamand hai,
Par koi nahi samajhta,
Ki mere andar kitna gehra dard chhupa hai,
Ab wo cheezein bhi pasand nahi jo kabhi khushi deti thi,
Har pal mushkil se guzarta hai,
Samajh nahi aata kaise bahar aaun in uljhanon se.
Kabhi lagta hai,
Sab kuch chhod kar chali jaaun kahin,
Par phir khayal aata hai,
Ki yun hi haar manne walon mein se toh mein hoon hi nahin,
Magar dimaag itna kharab rehta hai ki kuch theek se ho hi nahi paata,
Sabkuch bikhra bikhra sa lagta hai,
Aur jo kuch thoda sa sambhalta hai,
Woh bhi meri wajah se aur bigadne lagta hai.
Ek ajeeb si tanhaayi hai jo mere saath saaye ki tarah chali aati hai,
Apni hi soch aur jazbaaton mein ghoomti rehti hoon,
Jaise yeh dard mere dil ka hissa ban gaya ho,
Kabhi socha tha ki is dard ko mita paungi,
Par ab lagta hai ki ye dard hi meri pehchaan ban gaya ho.
Dil karta hai sab chhod doon,
Is duniya ki bheed se door nikal jaaun,
Par phir apne hi dil ko samjhati hoon,
Ki shaayad yahi mera imtihan hai,
Shaayad yahi meri kahani ka woh hissa hai,
Jis se mujhe guzarna hai,
Par ye Andheri raat kab khatam hogi, yeh sawal humesha rehta hai.
Jaise ek khoobsurat sapna jo kahin adhoora reh gaya,
Jaise ek khamoshi jo har pal mein ghul gayi hai,
Mein usi khamoshi mein apne jawab dhoondh rahi hoon,
Par ab toh yeh jawab bhi kahin kho sa gaya hai,
Aur main bas yahi sochti hoon,
Ki kab ye dard bhi khatam hoga,
Kab woh sukoon milega jo sirf ek sapna ban kar reh gaya hai.
Aur kabhi lagta hai ki yahi meri Sukoon ban gaya hai...yahi mera Sukoon ban gaya hai.