...

3 views

A self love journey
To ye kahani h ek nanhi ladki ki , jo dusre bacho ki trah thi masoom, duniyadari se anjaan... school Jane wali, dost banane wali
usko kbhi kisi ne sunder nhi kha lekin kbhi badsoorat bhi nhi kha na Ghar me na bahar kisi ne ..na wo roop ki ye diware janti thi
par ye duniya badi cruel h hmare andar sharmindagi ka , self haterd ka beej bo hi deti h aur uski jindagi me ye pal jra jaldi aaya
vo 4 th class me thi uski ek Ma'am thi chetna ma'am, uski english teacher ..sanwale rang ki lambi healthy khubsurat mahila aur uska bolne ka tarika kafi attractive.. sbhi bache usko pasand krte aur vo nanhi bachi bhi unhe bahut pasand krti, vo apni mummy ko Jake batati ki aaj ma'am ne ye padhaya ye bataya bachi class topper bhi thi to ma'am bhi uski tarif kr deti
ek din abhi bache class me baithe the ma'am k pas Hindi teacher aayi unka nam tha Neelam ma'am ..aur baate krne lagi . uss nanhi bachi ki bestfriend thi Ankita vo Neelam ma'am ki beti thi aur vo bachi aur Ankita first row me baithe the to unhone dono ma'am ki baate suni
chetna ma'am - kuch girls kafi cute h jaise ki Ankita aur is bachi ko dekho ( chlo usko Riya kh dete h ) kaise Riya Sundar nhi h
Riya k pero tale jameen khisak gyi ye kya sun liya Aaj usne uski idol uski pyari teacher uske baare me ye kh rhi h
rang roop Gore kale ki jis duniya ka use pta nhi tha usse parichay bhi hua to kaise
sharmindagi iss bat ki , ki uski dost Ankita bhi sb sun rhi thi aur vo usse aankhe nhi mila pa rhi thi.. uski aankho me aasu aa gye lekin vo roo nhi payi
Ghar aayi to badi udas udas rhi ...royi tb bhi nhi, is trah din mahine saalo sal nikal gye lekin ye bat vo kbhi nhi bhul payi
hamesha aaine me jb dekhti yhi baat usko yaad aati ..vo self conscious ho jati, under confident ho gyi ..ye silsila chalta rha aur iss chiz ne usse jindagi me bahut si chize krne se roka
jb vo Ghar se bahar nikali Bahut log khte ki tum Sundar ho , uski expectations se jyada log aisa khte, ladko ko bhi uss pr crush tha lekin uske dimag me ek hi swal ye log Mera mjak bna rhe h ya m sch me Sundar hu
dheere dheere logo ki soch ne usse badlna shuru kiya vo aaine me dekhti to usse lagta.. ha m khubsurat to hu lekin fir agle hi pal vo vishwas tash k patto ki trah dah jata.. koi jra sa bhi usse mjak me khta ki iss dress me tu achi nhi lag rhi to vo ma'am ki aawaj uske kaano me gunj jati..
mujhe to sb khubsurat lagte h , apne tarike se sb unique h yhi sochti vo.. lekin khud se pyar nhi kr payi usne kafi logo ki journey padhi bahut logo ne usse bar bar reassure kiya tb jakr uska thoda dar kuch had tak dur hone laga
Aaj usne apne jiwan me ek mantra bna liya h ki vo kbhi aisi bat kisi ko nhi khegi jisse us insan jindagi bhr ki insecurities ho jaye, agr vo kisi under confident insan ko dekhti h usse lagta h is insan me is chiz ko lekar doubt h vo unko bar bar us chiz pr compliment deti h ..jb tak vo insan ye accept na krle. vo aaine k aage khadi hoti h aur khti h I like what I see ..yes I'm attractive yes I'm beautiful and no one has any right to tell me otherwise. jo ladki phle kisi k compliment Dene pr khti thi nhi nhi Aisa nhi h vo aaj khti h tq
vo kbhi dusro k samne khud ko nicha nhi dikhati vo khti h ha m Sundar hu aur na vo kisi aur ko ye adhikar deti h ki koi usse degrade kr ske
so dosto vo ladki to apne struggle inner journey se aaj iss chiz se overcome ho gyi h but mujhe lagta h kbhi kbhi hmare dwara anjane me khi gyi baate kisi ka jindagi bhar ka scar bn jati h so hme apni baato ko soch smjh k aur bahut suljhe manner me bolna chahiye
dusri traf hme itna self confident hona chahiye ki kisi ki bhi opinion hmari personality pr havi na ho
.
.
.
bye bye 😁
© preeti choudhary