...

3 views

pta nhi kya chal rha hai jindagi me
pta nhi kya chal raha hai jindagi me
umar ke es prav me pta nhi kya chal raha hai kuchh samjh nhi aata
ki kya karu mai jiya mujhse jaata hai marna mere haath me nhi
kya karu mai
kuchh nhi sab kuchh badal gaya hai meri jindagi me
be vjh kabhi bhi hasne lagti hu bina wajah kabhi bhi ro deti hu
chhoti chhoti baat par ro deti hu
kyu ho rha hai mere jindagi me ab
etne uljhne aa gye hai ab jindagi me
ki suljhaye suljhta nhi
mai khud uljh gaye hu
koe na mila mujhe es uljhan se nikalne wala ab mai khud se hi sambhalne lage hu
kyu aisa hota hai ki maan ki baat maan me hi rah jati hai
chah ke bhi kuchh nhi kah pati hu
pta nhi kya chal raha hai jindagi me.
kuchh baate hai jo dil ko bhut dukhati hai magar har baar apne muskurane ki aadat se chhupa leti hu kyu hota hai aisa mere sath
jindagi ji ke bhi maar rhi hu
pta nhi jindagi me kya chal raha hai
© Goldi Singh