...

4 views

ek beti aaisi bhi part 4
saanchi yeh jaankar shock ho jaati hai aur iss baat ka virodh bhi karti hai.. par uske ghar wale uski ek nahi sunte.. aur phir agle hafte saanchi ka birthday tha jab woh 18 saal ki ho jaayegi.. toh anand ne yeh teh kar liya ki ushi din saanchi ki shaadi hogi... saanchi fully shock thi aur bas kisi na kisi tarah iss problem se bachna chhati thi par uski dadi ne bhi uska bahar aana jaana band karwa diya tha... saanchi keliye toh jaise saare darwaaze band ho gaye the.. saanchi ke bhai veer ne bhi uska kabhi support nahi kiya ulta apne family walo ki hi tarah uski bhi aaisi hi choti soch thi... saanchi full pareshaan thi... aur ushe apne maa ki yaad aane lagi.. woh unki tasveer ko apne haath mein liye kehti rehti - maa aap kyu chale gaye mujhe chodhke.. agar aaj aap yaha hoti toh aapki iss beti ko iss tarah apne sapno se samjhota na karna padhta... maa.. kya aapko bhi aaisa lagta hai ki ladkiyon ko sapne dekhne ka career banane ka koi haq nahi... kya mere sapne bhi inn reeti riwaazo ke boj ke tale dab jayenge... kya mere sapno ko kabhi udaan nahi milegi?? boliye na maa!!
hamesha khudko sabke saath rehkar bhi akela paaya hai.. aur aaj bahut jyada khud ko akela mehsoos kar rahi hu.... maa!! ab aap hi koi raasta dikhaiye... mujhe nahi karni yeh shaadi...
aur maine faisla karliya hai... ki chahe kuch bhi ho jaaye.. main yeh shaadi nahi karungi...main apne sapno ko marne nahi dungi... ab waqt aa gaya.. samaaj ki iss choti soch ko badalne ka.. waqt aa gaya hai sabko ehsaas dilane ka ki betiyaan beto se kam nahi hoti.. balki woh har woh cheez kar sakti hai jo bete bhi nahi kar sakte... ab aapki beti chup nahi baitegi.. ladegi.. chahe saamne khudka hi parivaar kyun nahi ho.. main haar nahi manungi!!