...

19 views

AURAT
UNKHAHE JAAZBAAT
[PART : ONE]

" Dard se paida huyi, dard mein hi rhi.
Dard seh seh kr, dard ko hi bhul gayi."

Ab jaise jaise sawarne lagi,
Samaj ke nazron mein chubne lagi.

Ab tann dhaku ki mann esi kashmakash mein rehne lagi,
Samaj ke sawalon ko sehne lagi.

Ab masik dharm ke pida hai,
Samaj ke kupratha se bhi ladna hai.

Ab apne adhikaar ki baat bhi karni hai,
Samaj ke pitra satta jaise niyam se ladna bhi hai.

Ab swabimann se chalna hai,
Samaj ke dakiyanusi soch ko bhi khatm karna hai,

Ab apne khwaabo ko pura karna hai,
Samaj ke bal vivah jaise vicharon se bhi ladna hai.

Ab khud apne pairon se chalna hai,
Samaj ki nirbharta ke bediyon ko thodna hai.

Ab khud se apne sapne bunne hai,
Samaj ke kisse nhi sunne hai.

Ab apne aap par vishwas karna hai,
Samaj ki soch ko bhi badlana hai.

Aurat hun.. Ab sirr utha kr chalna hai.




© KAVED_SAVIOR