...

6 views

Morning.
Subah ki azan ho rahi hai.Yani raat khatm ho gayi aur nayi khushiyan,nayi himmat aur naye hausle apne sath lekar aaghaz e subah ho gayi hai.Alhamdulillah.Paak hai hamara parwardigar jo hamein har andheri raat ke baad ek subah ata karta hai aur har din ki thakan ke baad ek pursukoon raat ata karta hai.Mujhe lagta hai ki 24 ghante mein se subah ka 3se 5 ka waqt behad pursukoon hota hai.Doosre darje par un logon ke liye jo subah nahin uth sakte lekin creative hote hain to phir unke liye raat ko das baje ke baad ka time shor sharabe se thoda door hota hai.Yun to creation ke liye koi waqt muqarrar nahin hota kyunki ek positive energy ki ek lahar hoti hai jo khud ba khud hamare andar se nikalti hai.Lekin phir bhi,ye to ho gayi output ki baat.Jabki hamein apne ooper kaam karne ke liye, khud ko samajhne ke liye kuch input dalne ke liye kabhi kabhi solitude ki zaroorat hoti hai.Aur wo mere khayal se subah ke waqt ki pahli saf se behtar koi nahin hoti.Yun bhi subah ka waqt bahut khoobsoorat aur dilfareb hota hai.Jyun jyun din qareeb aata hai aur tuloo e Aaftab ka qaqt hone wala hota hai pal pal badalti huyi hawaon ka mizaj behad thrilling aur sath hi sath ek masoom bachche ki tarah chanchal aur nazuk hota hai.Aur phir jab dheere dheere Sooraj apni poori aab o taab ke sath namoodar hota hai to Masha Allah ek chadhta hua din hamare samne khada hota hai. Aur har insan yahan tak ki charind o parind bhi apne apne kaam pe chale jate hain.(Tasneem Fatma.)