...

3 views

man ki bate
mai un ladkiyon me se nahi jo, andhere se dar jati hai,
mai akele rah leti hu,
apne jrurat ke liye parents pe emotional and financial depend hu,
par kisi aur pe depend hona pasand nahi karti,
mai khud se ladti rahti hu,
par auro se nahi lad sakti,
kyoki mujhe ye acha nahi lagta,
isiliye chup hi rah leti hu,
kisi kone me rah kar sukun ke kuchh pal dhundti hu,
chhoti _chhoti baton se hurt ho jati hu, pareshan ho jati hu,
aur badi problem ho to mai hi sabki himmat bani firti hu,
itni kathor to nahi hu pr najuk hona painful hai,
responsibilities samajhati hu,
aur yhi jariya hai jeene ka,
yaise to kisi chiz se nahi darti,
par kisi ke sath se dar jati hu,
dar jati hu ki kahi usse mai,
ki kahi attachment n ho jaye,
kyoki pata hai ki
umeed khud se karo to hi behtar hai
rista khun ka ho ya ehsason ka
hota to dard ka hi hai,
isiliye jhuk jate hai har bar unke samne
kyoki unki jarurat emotionally hoti hai,
fir bhale hi kabhi vo hame n samjhe,
khud ko unse alag karne ki himmat bhi nahi h,
man raji nahi hai
u khud ko tukdon me bat le
dar jati hu apno ke dard se,
khud ki pareshanio ko face kar leti hu,
par vo preshan ho to
sukun mujhe bhi nahi hota,
darti hu unko khone se,
mai puri hu jinke hone se,
mera astitva meri jamin hain jo
meri pahchan, mera asman hai jo,
kuch rishte ajnabi hote hai,
man darta h unse judne se,
kuchh apne bhi ajnabi hote hai
jo apne hokar bhi us judav ko todne me pal_bhar bhi nahi jhijhakte,
mai darti hu yaise logo se, yaise judav se, ye har pal man ko thesh pahuchate hai,
mai dar jati hu kisi naye riste naye logon se,
kyoki duniya matlabi hai,
sabkuchh apne jarurat aur sahuliyat ke hisab se karti hai,
kam nikalte hi pahchan aur yahsan bhi bhul jate hai,
apni sahuliyat aur khushi har koi chahta hai
par iske liye kisi ko har bar
fayde ke liye hi use karna
fir dudh me padi makkhi ki tarah
nikal fekna bhi to sahi nahi

15/3/2024

© sj