...

8 views

chatpaty kahani.!!(for childrens)

Chintu or pintu do bhai the Chintu ki umar 14 saal ki thi or pintu 12 saal ka tha..
unke waliden dono ko bhot pyar krte the.
pintu kam umari se hi bhot chalak tha. Sab k sth bhot ache salike or masumiyat k sath pesh ata tha or padhai karna use bhot pasand tha. jab bhi Walid k sath baithta to kayi sawal krta tha Walid iske puche hue sawalat or uski Soch se bhot khush hote the. Or usko hamesha motivate krte the..
Par Chintu ko sirf khel kud, tv dekhna or dosto k sath din bhar masty Krna hi pasand tha o Ados pados k bacho k sth khelte or ladayi jhagde kr k waliden ko bhot preshan kiya krta tha. or hamesha waliden ki nafarmani kiya karta.. Waliden use bhot samjhate par o samajh nahi pata O pdhai likhayi me kabhi dhayan nh lagata tha.
Unke shaher me kisi idaare ki janib se compitative imtehanat rakhe gye the jo bhi is imtehan me ache number se kmiyabi hasil krega use idare ki janib se kayi inamaat diye jayenge..
Waliden ne bhi Chintu or Pintu dono ko us imtehan me hissa dilaya ..
pintu khub mahent w lagan k sath padhai ker ne laga or bade bhai ko bhi samjhane laga k ache se pdhai kr k us imtehan me kamyab ho kar hm bhi bhot sare inaam jeet le, par chintu ko kaha samajh ane wala tha.
Ab imtehan k waqt aa gaya dono ne paper likha, or ab natije ka intezar tha.. Pintu ko natija janane ki bhot jaldi thi o us din ka bhot intezar kr raha tha .. akhir kar o din aa hi gya or natije me malum huwa k pintu ne pure shahar me top 10me jaga banayi hai to o bhot khush ho gaya or khushi k mare nachne lga.
Pintu ko shahar k kayi bade idaaro ki janib se inamat mile or aage ki pdhai k liye bhi bade bade schools k invitation ane lge..
Ye sab dekh ker Chintu k dil me bhi ye ahsas hone lga k o apna time sirf khel kud, tv or dosto k sath ladayi ker ne k bajaye..
pintu ki tarah padhai me lagata to use bhi aj kayi inamat milte....akhir kar ab chintu ki akhal bhi thikane aa gyi ..
Ab o bhi samjhdar ho gya or khelkud ladayi jhagde chod kr ab o bhi apne bhai ki tarha banane ki koshish krne lga...
Is kahani se hame ye sabak milta hai k hum bache apna kimty waqt sirf or sirf khelkud me dosto k sth moj masty kr ne or tv me hi na guzare us k sath sath kuch achi adate bhi sikhe..
Kyun k hamra kal hamare hato me hi hai hum jaisa boyenge waisa hi payenge....


© #snd