...

1 views

Pal Kaisa Pal. 🌼📝🌼
Pal Kaisa Pal.

Kyu wo do pal pehle mila anjan mujhe apna sa lag rhal tha
Kyu uske sath bitaya har pal mujhe achha sa lag rha tha...
Kyu joh sabke liye raaz the maine uske aage khol diye
Kyu uske dil ke sare sapne usne mujh ko bol diye.
Ek intercollegiate competition ke din baat thi
Meri partner ek khubsurat ajnabi haseena thi...
Mujhe laga tha ki o bas uhi ek choti si mulakat thi
Par mujhe kya pta tha ki ek unkahi kahaani shuru ho chuki thi...
Ek ladka hua krta tha ekdam sehma sa
Wo baatein sabse kiya krta tha par uske pas koi aata na tha...
Wakt bitane ke liye wo bas ek sathi hi toh chahta tha
Us din mano kismat ki baazi lag gayi...
Ek ajnabi haseena ki nighahe aakar uspar tik gayi....
Aakar baithi pass mein aur haal puchne Lagi
Pehli dafa jamane mein use koi apni si lagi.
Hoti rahi baatein yuhi ki sham sar par aa gayi
Us ladke ki poetic baatein us ladki ke mann ko bha gayi...
Wo boli ki ye place hai mere liye naya mujhe nahi pta ki bus stop tak kaise jana....
Fir us ladke ne kha tum agar izzazat do toh main chahta hu aapke sath bus stop tak aana....
Us ladki ka bus stop kuch 2km ki doori par tha
Aur ladke ne ladki ko bus stop tak sath chalne ko pucha tha...
Is masumiyat pe us ladke ki wo ladki muskura uthi thi
Aur khushi se use apne sath chalne ko kha tha...
Huyi barish baaton ki phir es kadar ki
Shagun man use dono bhi khush ho gaye...
Ladki sunati thi use kahaniya befikar jeene ki,
Humesha dusaro ko khushiya batne ki
Us ladke ko bhi zindagi se ishq ho gya
Uske sath khubsurat sapno mein wo bhi kho gya...
Us pal mano ladke ke mann ke andher mein koi roshani laya tha
Pehli dfa hi us ladke ko kisine anokha paya tha...
Ek dusare ke baaton ke diwane wo beshak ho gaye
Par waqt ke paiye bhi un dono ko aahista se kuch keh gaye.
Ghadi ke paiye dabe pav aage sarkne lagi
Aur suraj ki kirne judayi ke geet gane lagi...
Thi khwayish uske sath uske duniya mein chalne ki
Kyu ki tamnna na thi khud ke sath rehne ki.
Us ladki ko rok lena us ladke ki chahat na thi
Par uske sath chale jaana uske bas ki baat na thi...
Himmat na thi usme ki wo use alvida bol de
Aur na hi chahta tha ki dil ke raaz khol de...
Koshish kar khudko wo khamosh rakhta gya
Aur aakhir mein bus ka intezaar khatam ho hi gya.
Wo ladki chali gayi parindo ke duniya ki taraf
Us ladke ki zubaa se na hi nikla koi labz...
Dekh us rah mein wo bhi uske sath jana chahta tha
Sang uske wo aazad zindagi ki sair krna chahta tha.
Par shayad wo ladki bani hi thi nadan parindo jaisi
Akele hi khule aasman mein udne ke liye...
Aur wo ladka bana tha purane pinjare jaisa
khudko khudki hi salakho mein hi kaid rakhne ke liye...

The End
© Parthasarathi

#writco
#hindiwriters
#stories
#storytelling
#Love&love
#LoveVsDestiny
#romance