...

4 views

Dosti ka safar part-3
I also not denied to be a part of school magazine. I was selected in essay writing team. kaafi achha tha sab kuch. uss team mei kaafi achhe log the , ar mujhe bhi achha lgta tha school mei sara time magazine pr kaam krna kyuki humara editors and writers mei name jo jaane wala tha.Almost maine ten to eleven essay likhe the.😀

Pura din no class no lectures bss computer lab mei hi nikal jaata tha pura time. Bss dar tha to director sir ka bahut hi jyada disciplined and punctual the😞. Last mei saare essay wahi finalize krte the. Wese to mei puri class ki achhi friend ban gyi thi pr uss puri team se mujhe ek kaafi achhi friend mili. Uska ek alag group tha class mei jis mei mere sath aayi hui 2 ladkia add ho gyi thi.🙂

mujhe hamesha se unka group achha lgta tha kyuki wo studies mei to the hi best sath sath school activities aur class mei bbhi kaafi enjoy krte the😆. Pr magazine mei itna busy ho gye ki uss time baat nhii hui jyada humari. Aur magazine ka saara kaam complete ho gya bss print hona baaki tha.

Ye sbse best school tha meri life ka kyuki ye pure district mei to sbse best tha hi aur mei humesha se ek ase school mei padi thi jisme boys se baat tak krna bhi allowed nhi tha. wo school bhi no. 1 boarding school tha pr iss school mei no boundations ar ladki aur ladka sab equal the jitni maar ladko mei utni hi ladkio mei😂 aur iss baat ki khushi alag thi ki mei ab apne ghar par thi.

To be continue....

© Pallavi Garg