...

3 views

Suno Chanda 🌙 (iii)
suno chanda. ..
wo jo thumare pass aik tara rehta hai na , thumare sab se kareeb , bilkul sath sath chalne wala ,

darasal usse hum ne apna numinda chuana hota hai , aapkey pass bajte hain hum usse apni sari baatain bata ke, sirf baatain hi nehi ,apni sari shakyatain, sare sawal, sare jawab aur sirf yeah hi nehi,der sara pyar aur mohabbat bhi bajte hain uske hath, sirf aapkey liye. ..

suno chanda. ..
hume shikyatain toh zarur hoti hain jb tum dur jate ho humse, lakin hum jante hain, thumara dur jana bhi toh zaruri hai,

saree asmaan main hum sab tarey dhundate rehtey hain, lakin kabhi tum khud aajate ho humare pss chaltey chaltey,wo humari zindagi ka sab se khas lamha hota hai , sab se khas . ..

suno Chanda. ..
hum jante hain thumara gum bahut bara hai , tum sara din suraj mukhi ke samne jaltey ho taa ke tum hume roshni dee sako , humare pss aa sako tabhi na ,

hum thumara yeah ahsaan kabhi bhi nehi chuka saktey , aur na hi bula sakte hain,
lakin hum isse thumara ahsaan nehi blke thumari mohabbat samaj lain ge, jo sirf humarey liye hai

suno Chanda. ..
aaj pandrah 15 tareekh hai aaj tum puree roop main ho hum sab ko dikh rahee ho
aaj ka din aur pechle doo din aur anne wale doo din hum thume pura dekh saktey hain ,
inn dinu tum bahut khoobsurat lagtey ho hume, hume aisa lagta hai ke jaise humara adhura khandaan pura ho gaya hai ab koi kami nehi hai

suno chanda. ..
tum boor na ho jana indinu bahut baatein karni hain humme ,aur sunni usse bhi zayada
Thumari mohabbat bari baatain sun kr aaj jhoome ge hum, wo jaise zameen wale kehtey hain na tarey jhoom rahe hain, wo yahi din hote hai jb hum sab se zayada jhoomte hain ,

Chanda:
Tum mohabbat bhara ahsas ho.
Tum humari lagi aur bujhi pyas ho.
Dekho humara sab hume mil gaya hai.
Aur kyun na ho jo tum aass pass ho.

Thanks 💚

© AbrarAhmedAyar