...

13 views

Ghar mein ek namaz❤️🏡aur library room📚
Ghar ek subse khoobsurat rehne ki jagah hoti hai jaha hum apni family ke sath ek khoobsurat waqt guzarte hain,
jaha hum khud ko bohat secure feel karte hain,
hum kahin bhi chaly jaye kuch dair ke liye hi,
par jo sukoon apne ghar akar milta hai,
wo bhaley koi mahal hi kyu na apne ghar ke ilawa,
hum apne ghar mein hi wo sukoon patey hain,
Allah ne ek khoobsurat cheez bnayi hai,
ghar jaisi jaha har lamha khud ko sukoon mein paatey hain hum,
par meri hamesha ye khuwahish rahi hai,
ke jahan hum apne ghar mein jo ghar ki zaroorat ke mutabiq ek drawing room, living room,balcony banwatey hi banwatey hain,
tou ek ghar mein agar library room bhi banwalijya jaye aur namaz ka room bhi tou zada acha hoga,
ye meri khuwahish hai shayad ya phir ghar ke har fard ke liye ye idea faidey mand sabit bhi hosakta hai Aap apni pasand ki achi ilmi kitaabo ka mutaal'la kar saktey hain ghar mein ek hisa library room ka bhi ho agar tou jab hamey book read karne ka dil chahey tou hum apni pasand ki kitaab waha se uthaye aur library room mein jaa kar pursukoon mahoul jo library mein hota hai,
phir book ko aram se read karey📚
wohi mahool ghar mein bhi bnasaktey hain,
exams ki tyari ho ya koi bhi normal day ho,
library ghar mein hone se bohat faida hosakta hai,
books ko achay se organized se saliqey se rakha jaaye,
ghar mein ek pyara sa library room zaroor hona chahiye,
jaha hum kabhi bhi sukoon se apni pasand ki books ko read karsaktey hain ya late night study bhi kar saktey hain,
aur dosra bohat ehem jo namaz ka room,
ibadath ka room jaha hum ek khoobsurat aur pursukoon mahool mein ibadat kar saktey hain,
waise tou namaz kahin bhi hum parh saktey hain,
par pori tawajo ke sath nama ki adaygi honi chahiye,
namaz ek Allah se mulaqaat ka zariya hoti hai,
jaha hum baraay'raast Allah se hum kalaam hotey
aksar kabhi aisa bhi hota hai,
ghar mein amdo'raft bhi hoti hai,
Raat ko room ki light on nhi karsktey jo koi agar soraha ho,
wo log disturb na ho room mein light on ho tou,
jisko tahajud ki namaz ada karni ho,
ya uska dil chahey ke koi sukoon ki jagah ho jaha sirf Allah ka zikr sukoon se wo kar sakey tou namaz ka ek pyara sa room hona zaroori hai,
namaz pursook tareeqe aur pori tawajo se parhni chahiye aur dil ki khushi se parhni chahiye,
ek ghar hi aisi khoobsurat jagah hai,
jaha hum apni khud etemaadi se apney iraado ko kaamyaab bnasaktey hain,
ek management se samajhdari se,
ek pursukoon zindagi guzarsaktey hain,
ghar mein hi Ek mahool create karsaktey hain,
ye nazariya mera hai,
aur ek khuwahish bhi hai,
ke ek pyara sa namaz ka room ho ibadat ka room ho,📿❤️🏡
aur ek pyari si library ho ghar mein hi apni mann pasand kitaabe read ghar mein karey.❤️🏡📚
© Queen writes