...

3 views

**"शोर से खामोशी तक: बिंदासपन की बदलती दास्तान"** by @bindasslovingAryan
*Bakbak karne wala ladka ab bahut shant ho gaya hai, har samay gussail aur masti karne wala vah ladka kahin kho gaya hai.....*
Jo akele hi mahfilein saja diya karta tha vah gumnam aur badnaam ho gaya hai; befikre se kahin bhi kuchh bhi kaisa bhi jaisa man mein aaye vaisa karne wala ladka ab Ek-2 kadam bahut soch samajh kar chalta hai;
*vah bakbak karne wala ladka ab bahut shant ho gaya hai, har samay gussail aur masti karne wala vah ladka kahin kho gaya hai.*
Jiske pass thi bheed aur tha hujum logon ka-2;
vah ab ek aadivasi sa andekha sa ekant ho gaya hai, har waqt mast maula mast magan parinda banaa uda karta tha-2; vah apne hi khud k banae hue kisi Pinjre mein Panchi jaisa kaid ho gaya hai,
*Bakbak karne wala kadka ab bahut shant ho gaya hai har samay gussail aur masti karne wala ladka Kahin kho gaya hai.*
Jise agar na milati thi rahe to apni kya dusro k liye bhi Rah khud banaa leta tha-2; aise anjane safar ka ek pathik ek rahi Jo khud mein tha ek manjil-e- karvana,
vo kisi Anjane safar mein anjane raste mein anjani dagar per gum ho gaya hai,
*Bakbak karne wala vah ladka ab shant ho gaya hai har samay gussail aur masti karne wala mast maula kism ka vah ladka kahin kho gaya hai.*
Jise na thi chinta kal ki utani na hi fikra thi kuchh bhi aisa ya vesa ho jaane ji-2; ab vo ek kadam mein bhi kisi vaat per aage badhata hai to vah saikdon hajaron lakhon dafa khud Mein uljhaane wali soch mein pad gaya hai,
*Har samay gusse se rehne vala Masti karne wala bakbak karne wala vah Ladka Kahin Kho Gaya Hai Aur bahut Shant ho gaya hai*
© bindasslovingAryan