...

53 views

My life with my dad
Ayi suntey hey ek ladki ki choti si story
1995, 5th January mai Liza naam ki ek ladki ki janam hoi thi. Liza k papa ek doctor, teacher tha. Liza appne papa ki ladli beeti thi. Liza ki janam bohut critical condition mai hui thi, isilye wo Humesha bemar hoti thi. Ek samai ki baat hey jaab Liza ki tabiyat bohut kharab ho gyi thi n uss wakt uski papa ghr par nhi thi so jo papa k helper tha wo uske injection diya tha but actually kiya huwa na jo helper tha wo doz jada diya gaya tha n turant Liza ki condition bigad gai I mean to she is about to die.. Akhri saans le rahi thi but god ka Chamatkar dekho wo bach gyi.. Jaise jaise badi hoti gyi bemar v badhti gyi...
Once upon a time jab Liza 5 saal ki ho gyi usay pata v nhi tha ki kiya hone wali hey aanay wali kal. Raat k kareeb 2 baje Liza k papa ka tabiyat kharab ho gyi n raato raat gadi bulaya gya hospital lene k liye. 2002, 14 th May Liza k papa ka death ho gya...Jab death body ghr laya ja raha tha ek baadi si white gaadi mai... Jab Choti si Liza yeh dekha ki rastey mai itni baadi gdi wo gadi k peche janee lagi, uss masoom si bachi ko toh pata he nhi tha ki uss gadi mai usi papa,,, super men, hero ka death body hey. Wo gadi k peche continuously chalty gyi chalty chalty jab wo gadi uski dada ji k ghr ghussa . Liza v peche peche aa gyi apne dada ji k ghr jab wo apne papa body mai kafhan dhaka huwa n noise mai say blood nikalta huwa dekha toh uski toh saasen ruk si gyi.Mano apne papa ko khone k baad wo bekhar hi gyi. Jiske papa hey sayad wo kabhi mehsoos nhi kar payenge, jiski papa nhi wo log he samjh payenge ki keisa bezan Saa lgta hey bina papa k. Jab baap nhi hoti hey na tab saab apne paraya ban jaatey hey. Liza k papa k marne k baad Uski mami teen choty bachon ko le k idhar udhar vhatkti hui rehti thi. Kabhi is ghar kabhi us ghr. Liza n uski bhi n behen ko uski mami apne chacha k ghr rakh kr bachoon k pet vhrny k liye kam k talash me sahar ja pahuchi. Itni choti si umar me Liza ko bahut jhelni paadi. Jab Liza choti thi tab koi nhi puchta tha jb baadi ho gyi apno k buri najar paadne lga.. jab wo apne bhai n behen k saath apne fufha k ghr reh rahi thi jab uski saath bahut aa atyachar hone lagi sayad yehi uski life mai likha tha.. Wo bahut bar marne ki kosis v kari. Wo akely ho gyi thi koi nhi tha siwai god k. Wo Humesha hassti thi taki koi uski dukh na dekh paye wo baghwan say Humesha pray kati thii... Wo bahut achi thi but logon . Liza baatati hey ki uski sinee mai khanjar chubne jaise dard mehsoos hoti hey. Liza aaj 20 saal baad v apne papa ko fhukarti hey and wo najara usee ajj v dekhai deti hey. Ajj v jab wo uss time ko yaad karti hey tab annokhon mai ansu a jati hey. Ajj wo baghwan k kripa say khus hey. Bhagwan na kare ki kisi v ladki ko aisi zindagi mile.
Bas yeh bolna chahungi ki appne papa n ma ko kabhi apne say dur hone maat dijiyega. Thank you phir milenge ek nayi kahani mai.