...

8 views

Manzil
Ek shakhs tha jo apni zindagi se humesha naraz rehta hamesha khud ke halato ko kosta rehta.Use kayi mauke deti zindagi khush rehne ke magar wo un khushio me bhi kahi na kahi gam khoj liya karta.
Ek din uski mulakat ek ladki se hui jiska kuch saalo pehle road accident hua tha jisme wo apne mata pita ko kho chuki thi hamesha ke liye aur khud bhi wo pairo se ab chal nahi sakti thi.
Yahi ladki aaj us zindagi se khafa rehne wale shakhs ke samne ek officer bankar speech de rahi thi apni zindagi me aae utar chadav or apne ab tak ke safar ke bare me bata rahi thi.
Hum me se kayi log bhi aise h jo zindagi se khafa raha karte h jitna mila h usme kabhi khush nahi raha karte.Zindagi milti badi mushkil se h,har koi shakhs yaha aate hi khushnaseeb nahi ban jata,hatho ki lakiro ko khud sajana padta h huzur,kismat ke bharose na rehna kyunki kismat apni hum khud likhte h,kaate chahe lakh aaye manzil ke rasto me magar jeet ta wahi h jo in mushkilo se,gamo se haar nahi manta aur tamam logo ke taano ke bawajud kabhi dilko kamjor nahi pdne deta.
To aaj se hi ye wada karo khudse ke jitoge zindagi se haarna to sabko aata h,
Kayi dafa haar kar bhi jo kabhi hausla nahi khota asal me wahi zindagi jee jata h.


© rõõh