...

8 views

Just a difference of perspective....
Aaj kahin ek mahashay ke status par padha, "Ek aadmi padhne likhne ke baad bhi ek anpadh ko byaah ke laa sakta hai par agar ek aurat padh likh jaaye to wo kisi anpadh ke saath hargiz jeevan nahi guzaarti. Kitna fark hai dono me."

Wese bata doon, janaab ki biwi unse do guna zyada padhi likhi hai.

Aesi bahut saare logon ki soch hogi. Par wajah to kisi ne nahi sochi. Kuch hai to wo kyun hai?
Wese zyadatar ladkiyan iss baat ka ek hi jawaab dengi.

Dekhiye aapko anpadh biwi chalegi kyoki aakhir me aapke liye uski value kya hai? Ghar ka kaam kare, maa baap ka dhyan rakhe aur haan, aapka vansh aage badhaaye. 24×7 waali life time maid chahiye. Jiski soch aesi nahi hai, wo log sasuraal me bhi bahuon ko padhaate hain.

Abb baat karte hain doosri statement ki. Padhi likhi ladki anpadh se byaah nahi karegi. Bilkul sahi kaha, nahi karegi. Pata hai kyun?

Kyuki use 24×7 waala lifetime maid nahi chahiye. Use aesa partner chaahiye jiski wo respect kare, apne barabar samajh sake. Jo uske saath kadam se kadam milaa kar chale. Jahan wo dono intellectual level par ek sa soch saken, faisle le saken. Jahan barabar ki saajhedaari ho.

To samasya aese purushon ki soch ke saath hai. Aur kisne kaha ki padha likha anpadh se hi byah rachaaye. Kisi anpadh ne zabardasti to mandap me bethaya nahi na. To itni taklif hai to kripya thok baja kar byah rachaaye, baad me ye tukkbandi laga kar kisi ki udaan se jalna band kijiye. Aapke paas to sadiyon se pankh rahe hain, kisi pinjre me kaid chidiya ne aapke liye koi aesi kahawat nahi banayi na?
Kisi ko bura laga ho to haath jodkar ham aapke shama prarthi hain. Par paani sir ke upar se jaaye to jawaab likhna zaruri hai🙏

© Gauri_Anira