...

42 views

Failure tune kyun dara rakha hai
kyun fail hone ne duniya ko dara rakhha ha
main kehti hun iss fail hone ne duniya ko jeena sikha rakhha hai
Exams me fail hone ne padhna sikha rakhha hai
Logon k taano ne khud k liye ladna sikha rakha hai
ummid me fail hone me khud pe bharosa karna sikha rakhha hai
Relationships failure ne akela chalna sikha rakhha hai
Iss fail hone ne kitno ko itihas rachna sikha rakhha hai
kisi ko Tendulkar to kisi ko Einstein bana rakhha hai
bas yun hi tumne khud ko dara rakhha hai
Main kehti hun iss fail hone ne jeena sikha rakkha hai